Monday, March 31, 2008

Dard bhari zulfein!

Un gulabi gaaalon par lipti zulfein, hava si udti, mehakti, bilakhti zulfein;
un zulfon ki kahani main bayan karta hun,
dard bhare ik pagal shayar ki ruhani biyaan karta hun.

Ik baar vo baitthe tthe aankhon mein udaasi bhare,
ud rahi tthi zulfein gaalon ko chooti hui.
kar rahe tthe intezaar shayd kisi ka,
dil kya, ruh tak mein tthi pareshani si dubi hui.
chaunk gayi phir vo hamari ahat se,
chupane lag gaye koi gam apni ghayal muskaraht se.

byan na hua raaze dil, utari na baat zuban par;
chippa si li apni tanhai, unhone hamari muskarahat ke liye.
hamko ttha malum ke alam hai khushi ka bikhra hua sa,
zulfein bikhri hui, duppata ansuon se bheega hua.
ajeeb ttha wo lamha, ttha kain sadiyon se jaise bhara hua.

phir ik dam se bilakh pade wo hamari baahon mein,
aur nikaali bhadas dil se,"Bhai samajhkar aaj tumhein sab batati hun,
apni tuti hue dil ka kisse tumhein sunati hun"!!

Sochte hain ham aaj bhi is pal bhi ke,
kyun dil ke armaan aansuo mein beh gaye,
kyun aashiq se bhaiya ham banke reh gaye?

No comments: