Monday, March 31, 2008

Pyar Zindagi Se...

un gulabi gaalon par jab lipti zulfein,
hava si udti, khilti hui mehakti wo zulfein.

un zulfon mein kabhi kho jaane do,
mauhtaaj unka meri zindagi ko hojane do.

mazhabi sarhadon ne kab jeene diya insaanon ko,
kyun zinda karti ho beete hue zamanon ko?

hai agar bharosa to mujhe paas aajane do,
ik dost ki tarah apne saath zindagi bitane do.

pyar surat se nahi, seerat se kiya hai maine,
tumhare mazhab se nahi, niyat se kiya hai maine.

un adayon mein jhalakta wo bholapan,
aankhon ka bachpana, baaton ka wo taazapan.

tumhe dekhkar sirf tumse hi nahi,
pyar ab zindagi se bhi kiya hai maine.

No comments: